Avinash & Puja · Jamshedpur

Hum Evertales hain

Hum Avinash aur Puja hain, Jamshedpur, Jharkhand se. Har weekend apni car leke Jharkhand ki aisi jagahon par jaate hain jinke baare me kam log jaante hain, aur wahan tak ka poora rasta dikhate hain: kahan se mudna hai, ticket kitne ka hai, kab jaana sahi hai.

Saath me Purana Jamshedpur series me apne shehar ki purani, asli tasveerein aur unki sacchi kahaniyan laate hain. Har baat ka source dete hain, kuch bhi banaya hua nahi.

Hamara niyam: jo dikhaya, woh sach hai.

Kya milega yahan

Hame yahan dhoondo